Go Home

 

Homrak... ...

Homrak..., haan yehi to kehte the ham log homwork ko jab ham school main padte the,pata nahi kyun homework bolne main alasya aata tha isliye hamne use homewreck bana diya jo bigadte bigadte homerak ban gaya,waise woh hota bhi homewreck tha ,sara din to school main nikal jata tha uske baad ghar main bhi ye homewreck aake sab wreck kar jata tha.

 Abhi bhi garmiyun ki woh chuttiyan yaad hain jab bhari garmi main ham sab cricket khelne jaate the ,saara moonh laal ho jata tha garmi se uske baad aam ke bagiche main ped par chad ke aam tod ke khaa jate the aur fir maali ke aate hi jhat se gayab ho jaate the,lekin abhi chuttiyan aadhi hi khatam hi ho paati thi ki ye homrak aake sara maja kirkira kar deta tha,fir saara time nikal jata tha apne teacher ke kop se bachne ke liye homerak poora karne main.
Tab man hota tha ki ye homerak kab peecha chodega,college main aaye to ye homrak naam se to kam ho gaya lekin ghar aake jyada kaam karna padta tha,class lecture main to poore subject main se chaar line pada di jati thi fir reh jaata tha ghar aake bachi hue chapter ko padna. Tabhi se mujhe lagta tha ye homrak koi rakhshas hai jo naye naye roop dharan kar leta hai,jaise koi hawa ka rakhshas ho kabhi badal ki tarah chota ho gaya to kabhi paani ban ke baras gaya,khair jo bhi roop le le iska kaam hota tha khusi main khalal daalna ya yun kaha jaaye ki aisi bahut see bataein sikha jata tha,jo mushkil main kaam aa jati thi.
Jab saari padai khatam ho gayi to mujhe laga ki ab to is rakhshas se nijaat mil gayi,kuch din aisa bhi laga fir achanak ek din ye rakhshas fir naya roop le ke aa gaya,agle din meri pehli meeting thi ek client ke saath aur mujhe sab kuch taiyyar karna tha,pehla time tha isliye mujhe ghar aake saari raat kaam karna pada agle din ki taiyyari ke liye,tab mujhe laga ki samay ke saath ye rakshas bhi bada hota chala gaya,jab ham chote the to saja bhi choti hoti thi lekin ab ek galti kar di to kuch bhi ho sakta tha.

Aise hi meri tarah ka mera ek dost tha jo doctor ban gaya,jaane use kya soojhi sahar ke saare araam chor ke door ek gaanv main naukri karne chala gaya,log kehte the ki pahad main paida hua hai isliye wahin rehna chahta hai lekin aisa tha nahi,do saal new york reh ke aaya tha fir wapas aane ke baad use laga ki bahut ho gaya unki madad jinki madad ke liye saari duniya thi,usne soch liya ki ab unki madad karega jinhein wastav main uski jaroorat hai.
Fir woh chala gaya door kahin ek shaant si jagah main,shuru main to use laga ki usne galti kar di hai lekin fir gaanv waalon ka pyaar aur shareer aur dimag ki shanti se use laga jaise woh swarg main aa gaya ho,do teen saal ke baad ek din mujhe uska sandesh mila ki main wahan jaa ke uske paas kuch din reh ke dekhun,main bhi mehsoos kar raha tha kuch thakwat aur sahar ke kolahal se door jaane ki iccha prabal hoti jaa rahi thi.

Jab main uske paas pahuncha to mujhe usse irshya hone lagi,uski rehne ki jagah hi aisi thi,saamne ek choti se behti hui pahadi nadi,sara din panchiyun ka kolahal aur itni hariyali ki jaise lage koi hare rang ke brush se chitrakari kar gaya ho. Abhi mujhe uske paas ek hafta ho gaya tha rehte hue,main subah der se uthta tha fir uske aspataal jata tha,wahan reh ke man ko sukoon milta tha,ek din jab woh shaam ko wapas aaya to maine uske maathe par chinta ki lakeerein dekhi,aisa pehli baar hua tha jab maine uske chehre par woh lakeerein dekhi thi,main samajh gaya ki koi choti baat to hai nahi kyunki woh badi se badi mushkil main bhi hansta rehta tha ya yun keho ki apni mushkil se bahar aane ke liye hamesha mushkurane ka moolmantra hamesha kaam karta tha.

 Isliye us din mujhe lag gayi ki ek to ye badi baat hai aur dusri yeh ki usse sambandhit nahi hai kyunki apni mushkil ko hal karna wo janta tha,maine usse jaa ke baat ki to pata chala ki uske aspataal main kisi ko cancer hai aur use kal hi uska operation karna hai,shayad cancer last stage main tha,usne kayi saal se cancer ka koi case dekha nahi tha isliye usne jo bhi pada woh bhool gaya tha aur aaj ki raat use wapas sab kuch dekhna tha fir kitabon se ,mujhe fir homrak yaad aa gaya dekha ki yahan bhi woh peecha nahi chorta. Raat ko aadha adhura khane ke baad maine use akela chor diya uske study room main jahan woh fir wapas kitabon ke beech kho gaya. Woh raat bhi ajeeb thi bahar dhool bhari aandhi chal rahi thi saath main tej baarish bhi ho rahi thi,maine dekha wahi haal uske andar bhi tha,woh bhi kabhi is kitaab ko kholta tha kabhi us kitaab ko ki kahin se kuch haath lag jaaye,raat badi lambi thi aur bahut darawani bhi fir achanak raat ke 2 baje light bhi chali gayi usne emergency light dhoond ke nikali to pata chala ki woh bahut time se charge nahi ki hui thi,ab to uska man bhi bahar ki baarish ki tarah rone lag gaya tha,pehli baar itni majboori uske andar dekhi thi maine,uski aankhein kuch kehna chah ke bhi nahi keh paa rahi thi lekin woh lachaar tha.

Mujhe achanak yaad aa gaya maa ka raat ke 2 baje coffee le ke aana jab ham school ya college ka homrak karte the,ghar chorne ke baad to coffee bhi apni aur raat bhi apni. Main bhi andhere main 2 cup coffee banane ke baad uske paas chala gaya,uske paas baith ke mujhe laga jaise use kisi ne baandh diya ho,fir dheere dheere woh thoda sambhalne laga,maine use samjhaya ki homrak hi sab kuch nahi hai use accha khasa anubhav hai aur operation main kitaab se badi cheej anubhav hai,shayad ye baat uske samajh main aane lagi, fir ham saari raat baat karte rahe ,mujhe bhi beech ke saalon ka hisab kitab dene main saari raat nikal gayi ,jab subah dhoop nikali to laga hamare andar ka sooraj bhi ug gaya ho.

Nashta kar ke woh aspataal chala gaya main ghar main besabri se uske wapas aane ka intezaar karta raha,mujhe pata tha ki agar woh fail ho gaya to toot jayega,raat bhar ka thaka hone se meri aankhon main neend kab aa gayi mujhe pata hi nahi chala. Jab aankhein khuli to dekha woh saamne hi baitha tha poocha to pata chala ki use waapas aaye ek ghanta ho gaya,woh bas wahin saamne baitha hua tha isi intezaar main ki main kab aankhein kholun. Maine gahbrate hue usse poocha to pata chala ki operation safal ho gaya tha aur uske moonh main wahi bacchon jaisi hansi wapas aa gayi thi,jo kaali raat ke saath chali gayi thi. Maine man hi man upar wale ko dhanyawaad diya aur kaha,homerak to adhura reh gaya lekin woh paas ho gaya ................